Posted by
Muzzammil Shah
|
Posted in
|
Posted on
10:17 AM
Zindagi pareshaan si kyun hai..
Duniya veeraan si kyun hai..
Yun toh hai sabhi kuch jahan me magar,
Apni hasti anjaan si kyun hai...
Khwahish thi qaabon ka ek aashiyan banaayenge,
Socha tha nasheman me baharon ko basayenge.
Bana toh liya aashiyana mukammal magar,
Khushiyaan hamare aashiyaane me mehmaan si kyun hai...
Tanha nahi kat-ta ab ye safar humse,
Na rehguzar ka pata hai na manzil ka suraag.
Jane pehchane is zindagi ke safar me,
Har raah itni anjaan si kyun hai...
Sameta humne jab toote hue dil ke tukdon ko,
Har tukda sawal yahi karne laga humse.
Zindagi hame chodna chahti hai lekin,
Maut humse hairaan si kyun hai..
-Muzz...
Posted by
Muzzammil Shah
|
Posted in
|
Posted on
9:58 AM
Naaraaz hokar humse jo unhone muh mod diya...
Aisa laga ke zindagi ne humse ruq mod liya...
Bikhar gaye toote huve dil ke tukde aise...
Ke kaanch ka sheesha kisine jaise tod diya..
Ek ek tukda simatke jod rahe hain ab dilka...
Bikhre hue tukdon ko sametke toh jod diya...
Ab chubti hain daraarein in tukdon ke beech me..
Behte hue khoon ne ab sisakna chod diya...
Na jeene ki aarzo hai, na marne ki tamanna...
Woh aayenge hamari zindagi me, isi ummeed me hum ne dam tod diya..
Bikhar ke Toote is tarah hum, ke phir sambhal na sake..
Maut se takraakar zindagi ne dam tod diya.
-Muzz
Posted by
Muzzammil Shah
|
Posted in
|
Posted on
9:53 AM
Dilme faqat ek aas rehgayi,
Woh nahi rahe par unki yaad rehgayi.
Lahu ke saath bahadiya unki har ek yaadko,
Dilme phir bhi unhe paane ki aas rehgayi.
Kashish hai ye kaisi ke rukti nahi,
Ye kaisi hai tishnagi ke bujhti nahi.
Samandar saara peegaya main jhatke me lekin,
Hoton pe unke naame ki pyaas rehgayi.
Doli jo uthi unki, jahan lutgaya hamara,
Dhuan banke udgayi khwaahishein saari.
Jalgaya aashiyaan tamannaon ka magar,
Aarmaanon ki bachi hui khaaq rehgayi.
Zuban se na bayan karsake hum fasana hamara,
Aankhon se bahadiya humne dard saara.
Aansuon me behgaye khwaab saare jo dekhe the kabhi,
Phirbhi palkon me unhe basane ki aas rehgayi.
Chaldiye woh yun humse naata todke hamesha ke liye,
Ke bewajah hi hogayi ruswa, wafa hamari.
Hamari tadap ka asar yun hua Muzzammil,
Ke Maut ke hoton pe bhi hamare jeene ki fariyaad rehgayi..
-Muzz…