Posted by Muzzammil Shah | Posted in | Posted on 10:17 AM
0
Zindagi pareshaan si kyun hai..
Duniya veeraan si kyun hai..
Yun toh hai sabhi kuch jahan me magar,
Apni hasti anjaan si kyun hai...
Khwahish thi qaabon ka ek aashiyan banaayenge,
Socha tha nasheman me baharon ko basayenge.
Bana toh liya aashiyana mukammal magar,
Khushiyaan hamare aashiyaane me mehmaan si kyun hai...
Tanha nahi kat-ta ab ye safar humse,
Na rehguzar ka pata hai na manzil ka suraag.
Jane pehchane is zindagi ke safar me,
Har raah itni anjaan si kyun hai...
Sameta humne jab toote hue dil ke tukdon ko,
Har tukda sawal yahi karne laga humse.
Zindagi hame chodna chahti hai lekin,
Maut humse hairaan si kyun hai..
-Muzz...

Comments (0)
Post a Comment